Saturday, May 25, 2013

unke mehfil me chale jana khata ho gya.........



   unke mehfil me chale jana khata ho gya,

  unke julphon ka galon pe choomna

   sitam dha gaya !

  mai sarabi nahi tha doston !

  unke Nashe main doob kar maza aa gya !
  

  kahi wo sapne se naa chale jayen,

  mai raat bhar unke khwab me jagta raha,

  soocha zindagi unke sapne me hi gujaar dun !

  par Khuda ne fir sawera kar diya !



  uss Sitamgar ne jagte hue bhi sapne dikha gai,

  mera pata logon se puch mere muhalle me aa gai

  unhone Hoton se to kuch nahi kaha ,

  magar Chehre se Ishq bayaan ho gaya...


  ab unke bagair din me bhi andhera lagta hai !

  iss jahan me bas ek raat ka basera lagta hai

  unke sapne me aa jana jaise saza ho gaya,
 
  mohabbat kise kehte hai ?

  ek sapne me hi Pata ho gaya ....


                                 ................"nishabd abhay"

No comments:

Post a Comment

अक्कड़ बक्कड़ बंबे बो अस्सी नब्बे पूरे सौ...

अक्कड़ बक्कड़ बंबे बो अस्सी नब्बे पूरे सौ... एक जादूगर जादू करता था, तितली को कबूतर, कबूतर को बाज़ और बाज़ को मोर बना देता था। ...