Wednesday, July 18, 2012

raat of my life

                                                                raat of my life
                          ..."nishabd abhay"

ek subah ki talash me maine kitne hi raaten gujaar diye..........
apni hi jindagi hi na haseen bana sake chahe kitno ko sanwaar diye,
laash sadak par padi thi pr kisi kambkhat ne ek kaphan b na udhar diye....

ek zarre ne bhai saath naa diya, kisi ne b doobte ko apna haath na diya
zindagi mujhse roothte jaa rahi thi, jishm ka rooh se rista tootte jaa rahi thi,
mujhe ummid thi koi mujhe thaam lega, mohabbat bhari ek jaam dega,
ek ajnabee laash ko apna naam dega............                             

ek kanta meri aakho me chubha raha tha, maut samandar bani thi or mai doob raha tha,
maut ko khud me dhoondh raha tha, uss waqt mujhe gahrai ki zaroorat naa thi,
mai apne hi aasu me doob raha tha...........

ek haseen raat ne mujhe maut se mila diya, zindagi k sach ne system hila diya,
naine soocha tha maut mahfooz hai par zindagi ke sach ne use bhi jhoothla diya,
or meri badnaseebi to dekho yaaro, mai chala tha maut dhoondhne ,
maut b daga dekar zindagi se mila diya..........

kisi ne sach hi kaha hai, maut b apni nahi hoti,
tum aasu bahao to duniya nahi rooti,
isi liye maine apne bhawnao ko khud me daba diya,
ab mai jaag chuka tha kisi ne geri neendse jaga diya tha........

No comments:

Post a Comment

अक्कड़ बक्कड़ बंबे बो अस्सी नब्बे पूरे सौ...

अक्कड़ बक्कड़ बंबे बो अस्सी नब्बे पूरे सौ... एक जादूगर जादू करता था, तितली को कबूतर, कबूतर को बाज़ और बाज़ को मोर बना देता था। ...